SEO kya hai puri jankari Hindi me Sikhe : SEO पूरी जानकारी हिंदी में

Dr. Mulla Adam Ali
0

SEO kya hai puri jankari Hindi mein Sikhe : SEO पूरी जानकारी हिंदी में

SEO क्या है : एसईओ कैसे करते हैं? What is SEO in Hindi 

Digital marketing aur internet ki duniya is teen shabd ke word “SEO” ke upar nirbhar karate hai. bahut bade-bade company jo apne product aur service online bechte hai. vah apne laakhon rupaye sirf seo par kharch karte hai. aakhir ye seo kya hai.

agar aapane bhi iska naam baar-baar suna hai ya kahi likha hua dekh hai ya phir aap internet aur digital marketing mein naye hai to yah word aapko baar-baar sune ko milta hai.

aaj ham aapako bilkul simple shabdon mein iske baare mein batane vaale hai. agar aap is post ko ek baar dhyaan se padh le to aap asani se seo ke baare mein jaan jaayenge.

Seo ka full form search engine optimization hai. jiska seedha sambandh search engine se hota hai. Seo ek prakar se search engine mein apne website ko top par laane ke rules hote hai taaki hamare website par traffic increase ho sake. agar aap in rules  ko follow karte hai to apke website search engine mein first page par show hote hai.

Website ko first page par lana isliye jaruri hota hai kyonki adhiktar logon first page par aane vaale website par hi visit karana pasand karte hai aur iske liye hame seo ko follow karna padata hai.

koi bhi company ya vyakti apne website isaliye banata hai taaki vah apne services aur products bech sake parantu agar uske website par traffic yaani log visit hi nahi karte to vah apane product kaise bechenge. isaliye hame apne website ko first page par laane ke liye search engine optimization karna padta hai. jis se hamare website par traffic increase ho.

Website par traffic increase hone se hamare online earning badti hai. sath hi website ki value search engine me increase ho jati hai jise website ki ranking bhi badti hai.

udaharan ke liye – search engine optimization bilkul traffic rules ki tarah hota hai. jaise traffic ko sucharu roop se chalane ke liye hame road map ki avashyakata hoti hai taaki logon ko kis samasya ka samna na karna pade aur vah jaldi se apna sahi rasta chunakar apne target tak pahunch sakte.

theek usi prakar seo bhi ek search engine traffic rules hai. taaki jab koi kuch bhi search kar use jaldi se sahi jankari mile. iske liye search engine ka road map hota hai jise seo (search engine optimization) kahte hai.

SEO aur traffic rules dono hi logo ke lie kaam karte hai. taaki hamare journey achha rahe. jaise agar aap “what is seo” sarch karte hai lekin jo result aata hai vah kisi aur cheej ke baare mein hai to apko baar-baar search karna padega jiska matlab hai ki apke journey aur user experience kharab raha.

isaliye google search engine apne user's experience badane ke liye seo factor ka istemal karta hai taaki unke user ko fastly aur correctly information de sake.

har search engine ke apne SEO factor hote hai. aaj ke samay me google sabse bada search engine hai jo poore duniya me sabse zyada istemal kiya jata hai. google lagbhag 200 seo factor par kaam karta hai.

agar aap seo ko ek line me samajna chahte hai to aap yah jaan le ki google vahi content ko pasand karta hai jise user's padna pasand karte hai. jis se vah content apne aap first page par chala jaata hai. aur agar pasand nahi karte to dheere-dheere niche chala jaata hai. yah google seo ka sabse important factor hai.

SEO का फुल फॉर्म : Search Engine Optimization What is the Full Form of SEO in Hindi? : सर्च इंजन ऑप्टिमाइजेशन होता है।

hum sabhi jante hain kei google kya hai, yah duniya ka sabse jyada upayog hone vaala search engine hai. Google ke alava bing aur yahoo bhi doosre search engine hain jo prayog kiye jate hain. Search Engine Optimization karne ke baad hum apne website ko search engine me rank karate hai.

SEO kyun jaruri hai?

kisi bhi blog ya website ko banane ka maksad hota hai use logon tak pahunchna. blog ya website banana alag baat hai aur use logon tak pahunchna bilkul alag baat hai.

maan lijiye humne bahut mehnat kar ke website ya blog banaya. usme humne der saare post bhi likh diye. aur humne seo ke liye kuch bhi nahi kiya to phir hamare blog ko search engine kabhi bhi apne result me show hi nahi karega. ab aap itna to samajh hi gaye honge ki apne blog ya website ko logo ko dikhana hai to use search engine ke result me seo karana padega aur search engine me show karane ke liye Search Engine Optimization karna padega.

Search Engine kaise kaam karta hai?

is ke naam me hi yaani “Search Engine Optimization” me search engine shabd ata hai. to sabase pahle to hame ye jan na hoga ki search engine hota kya hai. Online kisi bhi jankari ko nikalane ke liye hame ek madhyam ki jarurat padti hai.

vaise to internet me sab kuch upalabdh hai lekin ye aasman me karodon ke beech kisi ek star ko dhoondhne ke jaisa hai. to search engine hamare aur un un ginat website ke beech ka madhyam hai jo kisi bhi jankari ko search kar ke hamare samne show kara deti hain.

Search Engine me algorithm set kiya hua hota hai. jo itne website ke beech se bhi alag alag jankari ko chun ke nikal leta hai. to jin website me jaisa search engine optimization kiya hua hota hai unhen vo vaise ranking me show karata hai. google sabse jyada popular search engine hai. iske alava aur bhi search engine hain jaise bing, yahoo aur yandex ityaadi..

SERP kya hai?

SERP yaani Search Engine result Page. jab ham google ya kisi doosre search engine me kisi key word ko search karte hai to vo saare result ko apne page me show karta hai. search karne par ye jo pege khul kar aate hai use hi Search Engine result Page bolte hai. Search Engine result Page par jo results aate hai list ke top par usme 2 tarah ke listings hote hai.

Organic Listing

Inorganic Listing

1. Organic Listing

organic listing vo listing hai jisme hum bina paise kharch kiye hue search engine ke result page par aate hain.

lekin iske liye hame search engine optimization karna padta hai. organic listing sabse best hote hai kyon ki is se hame regular traffic milte rahte hai.

2. Inorganic Listing

jab ham paisa kharch kar ke google ke result page par aate hai to is ko ham inorganic listing bolte hai. ye listing stable nahi hote yaani jab tak ham google ko paisa dete rahenge tab tak hum result page par aa sakte hain.

SEO ke prakar – Types of SEO in Hindi

abhi tak humne jana ki SEO kya hota hai aur ye kyon jaruri hota hai. iske baad hum baat karte hain ki ye kitne tarah se kiya jata hai. jab website blog banta hai tabhi se usake optimization ki shuruat ho jaati hai.

yaani ke post publish karne ke pahle se hi is par kaam karne ki shuruat ho jate hai. aajakal WordPress mein blogging sabase jyaada ki jaati hai.

aap WordPress kya hai iske baare me bhi achhe se jante hai to apko maaloom hoga ki isme bahut sare plugins hame free me milte hai jinme se bahut se optimization ke liye bhi istemal karte hai. to chaliye jaante hai is ke prakar ke baare mein.

ye mukhyatah 2 prakar ke hote hain.

On-Page SEO

Off-Page SEO

SEO kaise kare?

jaisa ki aap pahle hi jaan chuke hain search engine optimization  do tarah ke hote hain aur inhe donon tareekon se search engine optimization karte hai.

On-Page SEO

har vo tarika jo hum apne blog ke andar search engine optimization ke lie karte hain use on-page seo bola jaata hai.

iska matlab ye hai ki hum apne blog ke design aur speed optimization se lekar post pablish karane tak jo saare kaam karte hain jaise ki responsive theme ka istemal karna jo kee mobile friendly ho.

achhe content likhna jo logon ko padne mein pasand aaye jisme har jaruri jankari ho. page ke speed achha hona chahiye kam samay mein page khul jana chahiye. apne blog ke liye meta description likhna.

post likhne ke pahle key word research karna taaki uss se search engine mein post ke ranking ho. key word ka placement zaruri jagah par karna jaise title, permalink aur meta description me.

Keyword ke destiny content me proper tarike se rakhna. internal aur external linking karna ye sabhi on-page ke andar aate hai. isse google hamare blog ko search result me aasan se rank kara deta hai aur hame badhiya organic traffic milta hai.

yahan hum sankshep mein on-page seo ke baare mein baat karenge lekin agar aap is topic par pure detail mein padna chahte han to yahan se pad sakte hain. jis me humne iske baare mein poori jankari asaan shabdon mein likhe hai. to chaliye is ke mukhy baton ko samajh lete hain.

ab apko har point bahut hi dhyaan se padna hai kyon ki hum yahan par apne personal experience ke aadhaar par sabhi jankari de rahe hai jo pakka aapko seo ko achha karane mein madad karenge. post ko ant tak padate padte aap bhi apne post ko rank karane me mahir ho jayenge.

jab aap achhe planing ke saath kisi post ki tayari karte hai to phir post content bhi best banegi aur rank karane mein bhi asan hogi varna vahi laakhon ke beech apka post bhi andhere mein pada rahega aur rank hasil nahi kar sakega.

Proper key word ko search karna

Humne yahan pahle point mein hi keyword research ko jagah diya hai kyon ki yahi post likhne ke shuruat hoti hai. jo naye bloggers hote hain vo keyword research mein dhyaan nahi dete hai.

 aap bhi keyword research par dhyaan nahi dete hain isiliye a post rank nahi kar rahe hai. keyword research ke bina post likhne ka koi fayda nahi hai bas samajh le ki iske bina aap bas samay ki barbadi kar rahe hai. to akhir ye kaise karen? Humne yahan par apko bas apne steps bata raha hoon jise aap follow karen jarur safalta milegi. aap apne interested topics ke baare mein ek list tayar kar le ki apko kis kis topic par likhna hai.

phir ek baar me sirf ek topic ko chun le aur uske liye ek nayi file notepad ya phir wordpad mein bana le. ab hame is ek topic ke keyword talashna hai. doston aaj ke samay me high keyword par bilkul bhi dhyan na den balki us keyword ke long-tail keyword ko search karana jaruri hai.

is mein sabse adhik jaruri hai isi keywords. jab aap google ke search books mein kisi topic par quary search karte hain to poore likhne ke pahle aap dekhenge ki vahan par neeche mein aur lines google guess kar ke apko dikhana shuru kar dega. ye automatic keywords long-tail ke roop mein ham istemal kar sakte hain.

Practical Example:

maan lijiye mere vishesh aur greeting vale website hai aur ham happy birthday wishes ke upar post likhna chahate hain. to hum yahan agar sirf is keyword par post likhenge to post rank karna bahut mushkil hoga kyon ki is par search volume bahut jyada hai aur compition utna hi kada.

yahan hum long tail keyword ka istemal karenge jaise maine yahan par is tarah ke keywords nikale hain.

happy birthday wishes for brother

Best Abdul Kalam Quotes

Best Abdul Kalam Quotes in hindi

Heart Best Abdul Kalam Quotes in hindi

humne yahan par Abdul Kalam ke Quotes par likhenge to is se par ham milte julte 3-4 long-tail keywords nikal kar istemal kar sakte hai. in me jis keyword par compitition kam hoga usse ki main yani focus keyword ke roop mein istemal karenge.

note:

naye bloggers hai traffic dekh kar keyword select kar lete hain aur uska istemal kar lete hain. mera vishwas kijiye apka post kabhi rank nahi karega. aap dekhe ki us keyword compitition kitna hai.

Keyword ka jitna high volume hoga compitition utna adhik hoga. agar aap mere is line ko samajh jayenge to keyword research me aap jarur safal ho jayenge. Keyword ka volume jitna kam hoga uski compitition ka andaza lagana utna aasn hoga.

1. Post Title

jab hum keyword research kar ke pura kar lete hai to jis target keyword par post ko rank karana chahte hain us keyword ko hum post title mein bhi dalte hain. lekin agar target ka abhi bhi compitition bahut high lag raha hai to kam compitition vale keyword ko hi main keyword ke roop mein istemal karna sahi rahega.

apne article ke liye behtareen title likhne ke liye hamara likha article post title kaise likhe ye jarur pade kyuki is se apko kaafi fayada milega.

2. Permalink 

hamra post ka jo bhi url hota hai vahan par main keyword ka istemal karna jaruri hai. hamesha is baat ko dhyan rakhna hai ki post permalink me kabhi bhi stop word jaise (am, is, are, on) na karen.

sath hi post permalink me kabhi bhi aise words ka istemal na kare jise kabhi badalne ki jarurat pade. url jitana chhota ho utana achha hai.

3. Meta Description 

apne jin keyword ke aadhaar par post ko rank karane ka plan kiya hai un keyword ko apne post ke description mein jarur dale.

yahn dhyan dene wali baat ye hai ki sirf google ko hi dhyan me rakh kar description aisa na likhe ki usaka koi meaning na nikle balki aisa likhe ki logon ke nazar padte hi vo post ko opan kiye bina na rah sake. apne post mein behtareen aur aakarshak description kaise likhte hai ye jaan ne ke liye hamara article meta description kaise likhen jarur pade.

4. Keyword Density

post ke andar Keyword ka istemal sahi jagah par sahi sankhya me karna bahut hi jaruri hai. Keyword ko baar baar ghuma phir ke jarurat se jyada istemal karna keywords stuffing kahlata hai.

aisa karane se google ranking to dega nahi balki ranking mein neeche gira dega. isiliye jitna ho sake kam hj keyword ka istemal kare. Keyword ka istemal pahle paragraph aur antim paragraph mein jarur kare.

iske alava heading me bhi keyword ka istemal jarur kare aur content ke andar keyword ko jarurat ke anusar hi istemal kare. inka istemal jitana ho sake naturally hi kare jabaradasti kahi bhi istemal na kare.

Note:

Density kabhi bhi 2.5% se jyada na hone de. iska matlab ye hai ki agar aap 1000 shabdon ka post likh rahe hain to apne keyword ko 25 baar istemaal kar sakte hain lekin mere maane to 1.5% - 2.5% ke beech hi rakhe.

5. Proper use of Headings

Heading me apne chune hue focus phrase ka istemal jarur kare. apna post jab bhi likhe to h1 ka istemal na karen kyunki post ka title h1 hota hai isliye aapne post ke andar h2, h3, h4… aadi ka jarurat ke anusar istemal kare.

agar aap LSI keyword ke baare to jaan le ki LSI istemal heading 3 mein bhi iska istemal jarur kare.

6. Image Optimization

image ka optimization 2 cheezon ke liye bahut hi mahatvapoorn hai.

pahla to ye ki iska size kam hona chahiye kyunki image ka size jitna adhik hoga vo page ke loding time ko badayega isliye image ko compression kar ke dale aur saath hi image me alt attribute mein apne keyword ka istemal kare.

7. Internal Linking

apne likhe ja rahe post se jude post ke link ko bhi jarur add karen taaki logon ko topic samjhane me asani ho. is se visitor apke dusre post ko padhenge aur aap users engagement bada sakte hai.

sath hi ye dusre post ke liye bhi bahut importent hota hai jis se ki google ko uske liye ranking me madad milate hai.

jo post pahle se rink hain us me naye post ke link add kar ke use bhi asani se bina koi backlink banaye yani zero backlink hote hue bhi rank kara sakte hai.

8. External Linking

kam se kam ek external link jarur add karen jo ki us topic ko represent karta ho. aur reference ke liye vahan se use jankari mil sake.

9. Page Speed

google ke anusar agar kisi page ko lod hone mein 3 seconds se jyada samay lag raha hai to phir us page ka rank hona bahut mushkil hai. apne website me achhee aur light weight fast thumbnail ka istemal kare jo load tie ko kam kare.

aap achhee speed ke liye cloud hosting ka istemal kare jaise DigitalOcean, Linode ityadi kyunki inke plan apko $5 se shuru hote hain jo ek hindi blogger ke liye budget mein hote hai.

10. Social Signals

apne post ko social sites facebook, Twitter, Instagram me jarur share kare. in social sites ke ranking bahut achhee hote hai jab vahan se koi bhi visitor aata hai to is se google ko us post ke liye positive signal milata hai jis se us post kee ranking improve hota hai.

11. Attaching a related video

post ke upar ek achhee se video banaye kyun ki log aajkal padne se jyada video dekhana pasand karte hai. is se aap logon ko us topic ka video ke jariye samjha sakte hai jinhe padna jyada pasand nahi hai.

Off-Page SEO

post publish karne ke baad use rank karane ke liye jo tarike yaani  optimization techniques hum prayog karte hai use hum off-page seo bolte hai.

off-page optimization me ham Search engine submission, Web Directory Submission, Social media sites, Discussion forums, Blog commenting, backlink creation aur guest post karte hain. ab aap search engine optimization ke bare me jaan chuke hai to iske mahatv ko bhi samajh gaye honge ki ye kyon jaruri hai. 

aayiyen un techniques ke baare mei thodi jankari hasil kar lete hain jis se ki post ko rank karane mein hame madad milata hai aur jo bahut jaruri bhi hai.

1. Guest Post

backlink banane ka sabase achha tarika hai dusre similar website me guest post likhna. jab aap kisi achhe high DA aur PA vale website ke liye guest post likhte hai to apko ek do-follow backlink milta hai jo apke domain ke authority ko badata hai.

iska dusra faida ye hai ki jab aap bade website mein likhte hai to apko log vaha pehchan ne lagte hai aur apke website ko bhi visit karte hai. is se apko us traffic  milta hai.

2. Backlink's

jab apke website ke kisi post ya home page ka link kisi dusre website me jodte hai to ek returning link apke website ko milta hai jise backlink bolte hai. DA badhane ke liye backlink ek bahut hi mahatvpurn cheez hai.

lekin kabhi bhi andhaadhundh backlink na banayen. guest post likh kar aur forum mein discuss kar ke natural tarike se backlink banayen aur apke site ke niche ke hisab se backlink banane ki koshish karen.

3. Discussion Sites

aap ne Quora ka naam jarur suna hoga log is me apne question dalte hai aur experts sawalon ke javab dete hai.

jab vo koi javab likhte hai to sath me ek reference link bhi jarurat ke anusar dete hai. is tarah unhe iske jariye Quora se bhi traffic milta hai.

4. Forum Submission

aap forum mein apna account jarur banayen kyon ki is se aapko 2 faide hain ek to apko forum mein expert milega jo apke technical knowledge badane aur apke help bhi karenge sath hi apko forum join karne se do-follow backlink bhi milta hai.

Local SEO

Local Seo ko sankshep mein jaan lijiye vaise technics jiske dwara hum apne website ko local area ke logon ke liye optimize karte hai aur fir ise search engine me rank karate hai use local seo kaha jata hai.

vaise agar baat karen to website hame pure duniya ke logon ko target karne ka mauka deta hai fir aap soch rahe honge ki bhale hum pure duniya ko chhod kar sirf thode se local logon ko kyon target karenge? iska javab ye hai ki agar apka koi business hai aur apke target audience us area ke aas paas ke log hai fir apka local seo ke taraf kadam badana bahut faida pahuncha sakta hai.

aaj jamana kaafi vikasit ho raha hai aur log smart phone ke jariye har cheez dhoondhate hai yahan tak ki ab to ghar baithe hi log lagabhag har cheez mangvate hain. Google me log aajkal is tarah ke searches bhi karte hai jaise:

“Best restaurants near me”

“Nearest ATM”

“Nearest Movie theater”

ab yahan baat ye uthate hai ki google map ka istemal to is kaam ke liye hota hai to phir local seo ka kya faida hoga? to aap ye achhe se samajh le ki google map kayi jagahon mein eqrate information aaj bhi nahi de paata hai.

mudde vali baat ye hai ki aap apne area ko bahut achhe se jante hai aur sath hi aap gali gali ko pehchante hai ki kahan kahan par kya hai aur kaun se dukan hai ya phir store hai.

maan lo mai Patna Bihar mein rahata hoon to main yahan sirf Patna ko cover karunga aur dheere dheere poore site ke baare mein har shop ke details likhunga ki kis sector me kaun se dukan hai.

aap vishwas kijiye jitne details area ke shop aur business ke baare mein hum likh sakte hai utna pahle se internet me bilkul upalabdh nahi hoga.

is tarah google mein rank karana kafi asan hai. Smart phone user's ki sankhya kaafi badte ja rahi hai aur log type kar ke search karne ke bajay bol kar search karna bahut adhik pasand karne lage hain.

aise mein ye kis tarah search karenge aap khud hi ek baar ise test karen ke aap kaise search karenge:

• cloth store near netaji nagar patna

• best sweet shop in Belgaum

blogging me agar aap kuch naya karna chahte hai to local seo ko jarur try karen aur dusron ko bhi bataye ki ismen abhi bahut kuch karana baaki hai.

SEO se jude any saval

SEO kya hai aur kaise karte hai?

kisi bhi search engine me pahle pehe me pahle sthaan par pahunchaane ke liye apko apne article ko search engine ke anuroop optimize karna padta hai aur ise hi SEO kahte hai.

Search Engine Optimization kaise kare?

Search Engine Optimization karne ke liye apko on page seo aur Off-Page SEO ko samajhna hoga sath hi keyword research sahi tarike se karana bhi seekhna padega.

Page experience kya hai Page experience kaise sahi kare?

Page experience users dwar anubha kiya jaane vala browsing se juda anubhav hai jisme pege ka mobile friendly hona aur use ke mobile me kam se kam samay me pege ka lod hona shamil hota hai. ismen mukhy roop se apne pege ke Core web Vitals ko fix kana jaruri hai.

Sankshep me:

Search Engine Optimization aisa technique hai jis ke bina blog ka koi astitv hi nahi hai. search engine  kaise kaam karta hai aur kis tarah har blogger ke liye iska jankari ka hona mahatvapoorn hota hai.

ye post agar aapane poora padh liya hai to aap samajh gae honge kee saio kya hai (what is seo in hindi 2023) aur ise kaise karen.

doston apko ye post kaisi lagi agar apko ye post helpful lage hai to is post ko facebook twitter aur Instagram par jyada se jyada share kare.

ये भी पढ़ें;

Blogging कैसे करें : How to Make Money with a Blog in Blogging 2023?

Plagiarism in Hindi : What is Plagiarism in Hindi 2023

Useful Website for Students : जानिए छात्रों के लिए 20 बेहद उपयोगी वेबसाइट्स

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top