Krishna Janmashtami 2025 : जानिए कृष्ण जन्माष्टमी दिन का इतिहास और महत्व

Dr. Mulla Adam Ali
0
sri krishna janmashtami history and significance

Krishna Janmashtami

क्यों और कैसे मनाते हैं कृष्ण जन्माष्टमी

Kishna Janmashtami History: Why and how we celebrate Krishna Janmashtami, know the history and importance of this day

जानिए कृष्ण जन्माष्टमी दिन का इतिहास और महत्व :

Krishna Janmashtami 2025

Krishna Janmashtami 2025 began on

15 August 2025 

and ends on

16 August 2025 

Krishna Janmashtami History: jab jab dharati par paap aur adharm had se jyada badta hai, bhagwan ne dharti par avatar liya hai. bhagwan vishnu kisi na kisi uddeshy kee poorti ke liye dharti par avatarit hue. vishnu ji ka ek avataar Sri Krishna tha. Mathura ke rajkumari Devaki aur Vasudev ke aatvi santaan ke roop mein janmen kaanha ka bachapan gokul mein maata yashoda ke godh mein beeta. raja Kans se bachane ke liye Vasudev ne kaanha ke janm ke baad hi unhen apne chachere bhai Nandbaba aur Yashoda ko de diya tha. Sri Krishna ne apane janm se lekar jivan ke har padav par chamatkar dikhayi. Sri Krishna ke jivan se jude kayi kisse hain, jo manav samaaj ko seekh dete hain. adharm aur paap ke khilaaf sahi margdarshan karate hain. unke janm diwas ko utsav ke tarah har saal bhakt manate hain. Krishna Janmashtami ka parv is saal 18/19 August ko manaya ja raha hai. is mauke par jaaniye Sri Krishna Janmashtami ka itihas aur mahatv.

Krishna Janmashtami ka itihas : कृष्ण जन्माष्टमी का इतिहास

Bharat mein Krishna Janmashtami ka tyohaar bahut hi dhooma dhaam aur shraddha bhav ke saath manaya jata hai. hindu dharm mein manyata hai ki bhai kans ke atyachar ko karagar mein rah sah rahi bahan Devaki ne bhadrapad ke krishn paksh ke ashtami tithi ko apne aatve santhaan ke roop mein Sri Krishna ko janm diya tha. bhagwan Vishnu ne prithvee ko kans ke atyachar aur aatank se mukt karane ke liye avatar liya tha. is katha ke anusar har saal bhadrapad ke ashtami ko Krishna Janmashtami ka parv manaaya jaata hai.

Krishna Janmashtami ka mahatv : कृष्ण जन्माष्टमी का महत्त्व 

puranon ke mutabik, Sri Krishna tridevon mein se ek bhagavan vishnu ke avatar hain. krishn ke aashirvad aur kripa ko paane ke liye har saal log is din vrat rakte hain, madhy ratri mein vidhi vidhaan se pooja archana karte hain. bhajan keertan karate hain aur janmotsav manate hain. is din ke liye mandiron ko vishesh taur par sajayi jaata hai. kuch sthanon par Janmashtami par dahi-handi ka bhi utsav hota hai.

kaise manate hain Krishna Janmashtami? : कैसे मनाते हैं कृष्ण जन्माष्टमी

Janmashtami par bhakt shraddhanusar upavas rakhte hain. bhagvan Sri Krishna ke vishesh pooja archana ki jaati hain. Bal Gopaal ke janm madhy ratri mein hua tha. isaliye Janmashtami ke tithi ke madhya ratri ko ghar mein maujood Laddu Gopal ke pratima ka janm karaya jata hai. phir unhen snan karakar sundar vastr dharan karaye jaate hain. phool arpit kar dhoop-deep se vandan kiya jata hai. kanha ko bhog arpit kiya jaata hai. unhen doodh-dahi, makkhan vishesh pasand hain. isaliye bhagavan ko bhog lagakar sabako prasaad vitarit kiya jata hai.

Kyon aur kaise manate hain Dahi Handi? : क्यों और कैसे मनाते हैं दही-हंडी

kuch jagahon par Janmashtami ke din dahi handi ka aayojan hota hai. visheshakar iska mahatv Gujarat aur Maharashtra mein hai. dahi handi ka itihas bahut dilachasp hai. bachpan mein kanha bahut natkhat the. vah poore gaav mein apne shararaton ke liye prasiddh the. kanhaiya ko makhan, dahi aur ghee bahut priy tha. unhen makhan itna priy tha ki vah apne sakhaon ke sath milkar gaav ke logo ke ghar ka maakhan chori karke kha jaate the. kanha se makhan bachane ke liye mahilayen makhan ke matke ko oonchayi par latka diya karte, lekin bal gopal apne sakhaon ke sath milkar ek piramid banakar uske jariye oonchayi par latke matke se maakhan chori kar lete. krishn ke inhi sharaaraton ko yaad karane ke liye Janmashtami mein maakhan ke matke ko oonchayi par taang diya jata hai. ladke naachte gate piramid banate hue matke tak pahunchakar use phod dete hain. ise dahi handi kahte hain, jo ladka upar tak jata hai, use Govinda kaha jata hai.

कृष्ण जन्माष्टमी 2025 : Happy Krishna Janmashtami 2025: Wishes, Messages, Images, Quotes and WhatsApp Greetings in Hindi to Share on Gokulashtami

कृष्ण जन्माष्टमी 2025 : Krishna Janmashtami Messages

sri krishna janmashtami stickers

कृष्ण जन्माष्टमी : Happy Krishna Janmashtami 2025 Wishes

sri krishna janmashtami wishes

कृष्ण जन्माष्टमी 2025: Krishna Janmashtami Quotes 

sri krishna janmashtami history and significance

कृष्ण जन्माष्टमी 2025 : Krishna Janmashtami Poster

sri krishna janmashtami status

कृष्ण जन्माष्टमी 2025 : Krishna Janmashtami Status

sri krishna janmashtami wishes

FAQ;
1. कृष्ण जन्माष्टमी कब है 2025 में?
Ans: भाद्रपद महीने के कृष्ण पक्ष की अष्टमी तिथि को जन्माष्टमी (Janmashtami) का त्योहार है। इस वर्ष 15 अगस्त 2025 जन्माष्टमी का त्योहार है।
2. कृष्ण जन्माष्टमी क्यों मनाया जाता है?
Ans: रक्षाबंधन (Raksha Bandhan) के बाद भाद्रपद माह के कृष्ण पक्ष की अष्टमी तिथि को जन्माष्टमी पर्व श्रीकृष्ण (Sri Krishna) के जन्मदिन के रूप में मनाया जाता है।
3. गोपालकाला कब है? दही हाण्डी (Dahi Handi) उत्सव या गोपालकाला कब है?
Ans: दही हांडी (Dahi Handi) या गोपालकाला उत्सव इस साल 2025 में शुक्रवार 7 सितंबर को मनाया जाएगा।
Krishna Janmashtami 2025 Status Video, Krishna janmashtami whatsapp status full screen, Happy Krishna Janmashtami Whatsapp Status

ये भी पढ़ें;

भारतीय भाषाओं में राम साहित्य की प्रासंगिकता : लोकतंत्र का संदर्भ

कवि जयदेव की कल्पना है राधा (शोध)

राधा कृष्ण के प्रथम मिलन का साक्षी तमाल (ललित आलेख)

कृष्ण जी का दिन कौन सा होता है?, लड्डू गोपाल की छाती कब है?, दहीहंडी कौन सी तारीख को है?, भगवान कृष्ण का जन्म कब होगा?, कृष्ण जन्माष्टमी कैसे बनाया जाता है?, कृष्ण जन्माष्टमी कितने दिन है?, कृष्ण जी की पूजा कैसे की जाती है?, जन्माष्टमी कौन से महीने में पढ़ रही है?, जन्माष्टमी का व्रत कब खोलना चाहिए?..

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top